ajeeb zid hai ke zikr-e-hyder na hone denge
hasad jo hai habeeb-e-haq ka
wo zikre athar na hone denge
khuda ne azm e ali ki surat
rakhi hai quran ke aaene mein
magar ye baatil musir hai is pe
ke haq ujaagar na hone denge
ajeeb zid hai...
khuda kare zikre maula hyder
magar ye insan kuch kahe hai
kisi bhi surat baland azme
ameer taasar na hone denge
ajeeb zid hai...
falak pe zikre ali ki bazme
sajaye baithe hai arsh waale
zameen waale ye zid kiye hai
ke hum zameen par na hone denge
ajeeb zid hai...
hamara bhi ek faisla hai
yuhin uthaate rahenge parcham
sukoon kisi gaam ahle baatil
ko hum meinassar na hone denge
ajeeb zid hai...
ye keh ke zehra ne aansuon ko
ata ki rumaal mein sukoona
tumhare ashkon ko hum kabhi bhi
sharaf se baahar na hone denge
ajeeb zid hai...
aza-e-sarwar hai ab bhi baaqi
wo khud hi dunya se mit gaye hai
jo keh rahe thay dehr mein hum
aza-e-sarwar na hone denge
ajeeb zid hai...
yazeediyat dekh aaj ghar ghar
bicha hai farshe aza-e-sarwar
tumhara ye faisla tha zikre
hussain ghar ghar na hone denge
ajeeb zid hai...
ye shor zanjeer aur qama ka
ye keh raha hai zamana sunle
asar kisi mausami hawa ka
aza-e-sarwar par na hone denge
ajeeb zid hai...
pukari zainab mere baradar
mai shaam o kufa ko sar karungi
tumhare maqsad ko zehne
insaniyat se baahar na hone denge
ajeeb zid hai...
labon pe rakh kar ali ka charcha
ye kehte hai dayam aur yazdan
ho koi mushkil ali ki ulfat
ko dil se baahar na hone denge
ajeeb zid hai...