Kanz e Aza

Aaj Ghar se Nahi

A noha for Imam Ali (a.s), written by Arslan Azmi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

kya ajab si sehar ye aayi hai

jis taraf dekhiye udaasi hai

baap jaata hai ghar se masjid ko

beti faryad karti jaati hai

aaj ghar se nahi jao baba


ro ke zainab ye hyder se boli

aaj ghar se nahi jao baba


kaise samjhaye tumko ye dukhiya

kaifiyat ko meri samjho baba

khauf hai mere dil mein ajab sa

koi hum se tumhe cheen lega

hoga hum pe yateemi ka saaya

aaj ghar se nahi jao baba

ro ke zainab ye...


maan lo aaj ye baat meri

pyare baba pareshan hai beti

aaj ka din laga mujhko aise

jaise darbar ko maa gayi thi

waasta hai tumhe sayyeda ka

aaj ghar se nahi jao baba

ro ke zainab ye...


kal se kufe mein hai khauf phaila

shakhs dekha gaya ek aisa

zehar mein doobi talwaar thaame

wo bhi masjid ki jaanib gaya tha

ilteja sun lo meri khudara

aaj ghar se nahi jao baba

ro ke zainab ye...


jaanti hoon mai ye baade zahra

ghar mein lagta nahi dil tumhara

aaj ke roz bas reh lo ghar mein

saani e fatema hoon mai baba

meri chadar ko kar lo musalla

aaj ghar se nahi jao baba

ro ke zainab ye...


kya bataun tumhe dil ki haalat

toot jayegi hum par qayamat

jab se maa se juda hogaye hai

hai nahi gham ko sehne ki himmat

dekh sakte nahi hum janaza

aaj ghar se nahi jao baba

ro ke zainab ye...


tum to khud jaante ho na baba

bewafa hai ye saara hi kufa

ye to pursa bhi hum ko na denge

fitraton mein hai inki madina

jaane kyun khinch raha hai kaleja

aaj ghar se nahi jao baba

ro ke zainab ye...


raasta roka murghabiyon ne

haath jode hai khud betiyon ne

phir bhi masjid ki jaanib badhe wo

dekha azlaan sab kufiyon ne

bolti hi rahi binte zahra

aaj ghar se nahi jao baba

ro ke zainab ye...