akbar ko maar daala ye jab ran mein shor utha
laashe pe aake rone lage shaahe karbala
dil mein sina thi aur badan tha kata hua
bete ka haal dekha to sambhla nahi gaya
akbar ki laash par gire kehte huwe hussain
kya haal mere chaand se bete ka hogaya
tum ne bhari jawani mein khaayi hai barchiyan
akbar ko maut aa gayi kaise sunegi maa
rakhti thi jisko ghar mein bhi laila naqaab mein
kiski nazar lagi mera ye laal mar gaya
akbar ki laash par...
milte nahi thay tum mujhe ay mere naujawan
mai is liye bhi aaya hoon ghutno ke bal yahan
rakh rakh ke haath laashon pe dhoonda tera badan
beta tumhara gham meri beenayi le gaya
akbar ki laash par...
allah kitne zakhm hai akbar ke jism par
talwarein sab ne maari hai ye bol bol kar
akbar ko maar do khud hi mar jayega hussain
bhoolunga kis tarha ye layeeno ka bolna
akbar ki laash par...
bole hussain dekh ke tooti hui sina
zaalim ne mere sabr ka lena tha imtehan
ye keh ke barchi todi hai ibne numair ne
niklegi jab ye barchi kaleja bhi aayega
akbar ki laash par...
shayad kisi ne gurz bhi maara hai khaynch kar
sehra mai kaise baandhunga zakhmi hai tera sar
attharwein baras mein hi jaata hai chod kar
dulha tujhe banaaun ye armaan reh gaya
akbar ki laash par...
shaana hila hila ke ye bole shahe zaman
mayyat na apne bhai ki dekhe koi behen
sughra watan mein reh gayi acha hua magar
laasha tera sakina se kaise chupaunga
akbar ki laash par...
akbar ki zakhmi laash se lipte huwe wahin
zainab na saath deti to mar jaate shaahe deen
haye kisi bhi baap pe aaye na ab kabhi
maula pe jaisa waqt tha zeeshan aur raza
akbar ki laash par...