Kanz e Aza

Akbar ki Sawari

A noha for Ali Akbar (a.s), written by N. Sarwar & J. Jaffri & A. Jee. Lyrics in Roman Urdu.

wawaila haye wawaila

na jaa akbar na jaa

na jaa akbar na jaa


qaimon se sadayein aati hai

akbar ki sawari jaati hai


qaimon mein bapa hai wawaila

akbar ki sawari jaati hai

na jaa akbar na jaa

na jaa akbar na ja a


hamshakle payambar jaata hai

dil baap ka dooba jaata hai

sar peet rahi hai maa dukhiya

akbar ki sawari jaati hai

qaimon mein bapa hai...


athara baras naazon se jise

parwaan chadhaya zainab ne

gulshan hai ujda zainab ka

akbar ki sawari jaati hai

qaimon mein bapa hai...


kehti thi sakina ro ro kar

laut aao bhai ali akbar

qadmon se lipti masooma

akbar ki sawari jaati hai

qaimon mein bapa hai...


akbar se sakina jab lipti

shabbir ko sughra yaad aayi

usay kaise bataye ye baba

akbar ki sawari jaati hai

qaimon mein bapa hai...


kuch dayr ruko beta akbar

mai tumko bana to loo dulha

afsos na raas aaya sehra

akbar ki sawari jaati hai

qaimon mein bapa hai...


teri yaad bahot tadpayegi

maa jeete ji mar jayegi

maadar ke labon par hai nauha

akbar ki sawari jaati hai

qaimon mein bapa hai...


jao akbar jao akbar


sheh kehte thay jao akbar

mujhe dekhte rehna mud mud kar

deta hai sada boodha baba

akbar ki sawari jaati hai

qaimon mein bapa hai...