Kanz e Aza

Akbar Ko Fajar

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

akbar ko fajar shaah ko asar roti hai

zainab ko magar shaam o sahar roti hai


mila azan ko muazzan na baad akbar ke

lehja akbar ko azanon ki satar roti hai

akbar ko fajar...


kyun na akbar ki jawani pe jawani roye

jis pe hasnain ke nana ki qabr roti hai

akbar ko fajar...


haye wo shaam e ghariban ke andhere may rabab

khaali aaghosh liye thaame jigar roti hai

akbar ko fajar...


shabe ashoor wo sehme huwe pyase bache

jab qaza daalti hai unpe nazar roti hai

akbar ko fajar...


haakim e shaam ye kehta tha sakina ke liye

qaid e tanhaai may daalo ye agar roti hai

akbar ko fajar...


laashe qasim pe hai khamosh khadi binte hussain

mujhse kehti hi nahi haa wo magar roti hai

akbar ko fajar...