reh gaya jab seena e akbar mein naiza dayr tak
maut se ladta raha laila ka beta dayr tak
saath mein noore nazar ke noor nazron ka gaya
thokre khaate rahe maqtal mein maula dayr tak
reh gaya jab seena e akbar...
seena e akbar se khayncha sheh ne keh kar ya ali
dil mein uljha jab nikal paaya na naiza dayr tak
reh gaya jab seena e akbar...
saath mein barchi ke nikla jab ali akbar ka dil
banke aansu khoone dil aankhon se nikla dayr tak
reh gaya jab seena e akbar...
jab ragad kar aediyan be-jaan akbar hogaye
sheh ki aankhon mein raha chaaya andhera dayr tak
reh gaya jab seena e akbar...
uth na paayi jab zaeefi mein jawan bete ki laash
apni mazloomi pa roye ibne zehra dayr tak
reh gaya jab seena e akbar...
le ke sheh kuch door aage badh gaye phir rakh diya
jab na sambhla naujawan bete ka laasha dayr tak
reh gaya jab seena e akbar...
le ke boodha baap jab aaya jawan bete ki laash
qaima e sheh mein hua kohraam barpa dayr tak
reh gaya jab seena e akbar...
kaise le jaaye jawan ki laash maa ke saamne
yaas se dekha kiye sheh suye qaima dayr tak
reh gaya jab seena e akbar...
aalam e ghurbat mein sheh ko jab khat e sughra mila
shaahe deen dekha kiye tehreer e sughra dayr tak
reh gaya jab seena e akbar...
mayyat e akbar pa maa ne yun zafar girya kiya
silsila rone rulaane ka na toota dayr tak
reh gaya jab seena e akbar...