Kanz e Aza

Akbar Nahi Aaye

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

akbar nahi aaye asghar nahi aaye

din beet gaya ab raat hui dilbar nahi aaye


hum naam e ali humshakle nabi

jurrat thi siwa ghairat thi badi

lekin jab mushkil aayi ghadi

maa deti rahi ro ro ke sada

akbar nahi aaye…


kehti thi ye bano ro ro

lilaah bulado asghar ko

kya jaane kis aalam mein ho

ran ko gaye baap ke haaton par

phir ghar nahi aaye

akbar nahi aaye…


kya guzri laal mere tum par

kuch to bolo jaane maadar

kya baat hui ran mein sarwar

lekar to gaye thay haaton par

lekar nahi aaye

akbar nahi aaye…


tum par to hai sab haal ayaan

pani tha kahan jo deti maa

itni si baat pe de di jaan

ghar se gaye aise hoke khafa

mud kar nahi aaye

akbar nahi aaye…


aajao ay asghar aao

maadar par laal taras khao

ek baar galay se lag jao

mumkin hai laut ke phir dilbar

maadar nahi aaye

akbar nahi aaye…


zakhmi hai gala majboor ho tum

beta zakhmo se choor ho tum

ab mai samjhi kyon door ho tum

mai jaan gayi ay lakhte jigar

kyon kar nahi aaye

akbar nahi aaye…