Kanz e Aza

Akbar ne Kaha

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Raza. Lyrics in Roman Urdu.

akbar ne kaha zakhm kaleje ka chupa do

amma meri jeeti ho to ek baar mila do


amma ne ye farmaya tha ghar laut ke aana

is chand si surat ko hamay phir se dikhana

yan khaak basar unka pisar hogaya baba

chehra to mera khoon mein tar hogaya baba

akbar ne kaha zakhm...


behtar hai chupa de mere seene ke nishan ko

halaan ke khabar mil gayi hogi meri maa ko

kehna ke hai behaal ye bemaar tumhara

karne ko chala aaya hai deedar tumhara

akbar ne kaha zakhm...


amma ne bade naazon se sadqa bhi utaara

dulha ki tarha hamay naazon se sambhala

akbar na koi tum pe musiabt khuda laaye

ay laal tumhe ran se salamat khuda laaye

akbar ne kaha zakhm...


baba ye mera khoon to kapdon se hata do

acha to mujhe doosri poshak pinha do

ghaltan mujhe dekhegi agar khoon ke wuzoo mein

keh dengi mere doodh ki khusboo hai lahoo mein

akbar ne kaha zakhm...


dam haathon mein de jaata hai jab godh ka paala

phir zinda nahi rehti hai wo maa shahe waala

ye baar garan ay mere maula nahi uth'ta

maa'on se jawan bete ka sadma nahi uth'ta

akbar ne kaha zakhm...


ghar jaane ki haalat to nahi aisi hamari

wo zakhm laga kaari ke dam lena hai bhaari

sar ooncha kiya aap ka batlaunga baba

amma ke qadam choomne ghar jaunga baba

akbar ne kaha zakhm...


kehna ke pisar aap ne shabbir pe waara

maqbool kare aap ki qurbani ko zehra

amma ho mubarak ye bada kaam hua hai

zehra ki kaneezon mein tera naam hua hai

akbar ne kaha zakhm...


laila ke jawan laal ka ay shadman nauha

ta'eed e hussaini se raza aap ne likha

allah re majlis mein bada josh e fughan hai

matlab ke yahan aur bhi ek marsiya khwan hai

akbar ne kaha zakhm...