Kanz e Aza

Akbar Teri Laash

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

akbar teri laash uthaye kaise hussain


dil thaame huwe aur kham hai kamar

beenayi nahi aur zakhmi jigar

akbar teri laash...


ay beta zaeefi hai aisi

raasha hai badan mein baba ke

abbas nahi qasim bhi nahi

imdad ki khaatir kaun aaye

liye boj isi gham ka dil par

akbar teri laash...


sadmo ki thakan ne maar diya

din bhar to uthaye hai laashe

sab zabt ke bandhan tooth gaye

beenayi gayi tere gham se

tanha hai sare maqtal ye padar

akbar teri laash...


ay laal teri soorat ki qasam

ab taab nahi hai is dil ko

mai boodha padar aur tum ho jawan

kya waqt pada itna socho

mai bekas o tanha aur muztar

akbar teri laash...


qaime mein tujhe roti hai phupi

aur zeb e musalla hai maadar

athara baras paala hai tujhe

tu khud hi bata ay mere pisar

kya beet rahi hogi dil par

akbar teri laash...


pardes mein mere noore nazar

jeete ji mujhe tu maar gaya

naize ki tarha ye gham akbar

hum sab ke dilon se paar gaya

roti hai teri maa ye kehkar

akbar teri laash...


karta hoo duwayein khaaliq se

qismat na kisi ko de ye gham

ho saamne bete ka laasha

aur baap kare uska maatam

sunle ye dua rabbe akbar

akbar teri laash...


taqdeer kisi maadar ko bhi

ye gham na dobara dikhlaye

beta ho shabihe payghambar

maa jeeti rahe wo mar jaye

mar jayegi ro ro kar maadar

akbar teri laash...


jo tere kaleje mein thi sina

hai zakhmi usi se dil mera

kis tarha sina wo khaynchi thi

mai tujhko nahi batla sakta

dil tukde huwe jaata hai pisar

akbar teri laash...


jo bain kiye sheh ne ban mein

mazhar wo bayan kar sakta nahi

seene pe pisar ke sar rakh kar

ye kehte rahe bas shaahe deen

ab zinda rahoo mai bhi kyun kar

akbar teri laash...