Kanz e Aza

Ali Jaane Jahan

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ali ali ali ali maula ali ali ali


ali jaan e jahan

dil ye kehta hai tere ishq mai kho jaun ali

need aaye shab e hijrat si to so jaun ali

meri to rooh ne bhi teri hi bayyat ki hai

chod ke sara jahan bas tera ho jaun ali


peeran e peer ali mera dastageer ali

jaan e jahan

aaqa e man ali maula e man ali

jaan e jahan


sura e alhamd se sura e wan-naas tak

saare ke saare ali akbar o abbas tak

naad e ali padta ja gham na rahe paas tak

deen o emaan ali dil aur jaan ali

jaan e jahan

aaqa e man ali...


maula ye rauza tera noor ala noor hai

shehre najaf ki faza noor ala noor hai

aake yahan dil mera noor ala noor hai

tera deedar ali kar loon ek baar ali

jaan e jahan

aaqa e man ali...


aql mein aata nahi ya ali ya ali

qalb se jaata nahi ya ali ya ali

tere siwa ya ali koi bhi bhaata nahi

tu banata hai mere kaam ali jaan e jahan

zindagi saari tere naam ali jaan e jahan

wird karta hoo subho shaam ali jaan e jahan

de mujhe ishq ka inaam ali jaan e jahan

jaan e jahan ali ali ali ali ali ali


peeran e peer ali mera dastageer ali

jaan e jahan

aaqa e man ali maula e man ali

jaan e jahan


paaya hai phir usne kya jisne tujhe kho diya

khoya hai phir usne kya jisne tujhe paa liya

misle qalandar hua jis ne ye sauda kiya

tu hai wo raaz ali jo de parwaaz ali

jaan e jahan

aaqa e man ali...


kehte hai tere naukar

dil ke andar hai tera ghar

ye behrobar ye samandar

ye wali aur ye qalandar

kya faqeer aur kya tawangar

ya ali ali ali


hai ye seene mein halchal

mere har pal dil bole chal

mai najaf ko jaaun paidal

tay kar ke sehra aur jangal

bus tujh pe hi hai tawakkal

ya ali ali ali


maula ali

hai tu hi rab ka wali maula ali

meri qismat ho bhali maula ali

ghoomon najaf ki gali ya ali maula ali

mai tera tu hai mera maula ali

dil mein tera basera maula ali

tu hai roshan sawera ya ali ali ali


tujh pe mera dil bhi fida

jism mera jaan bhi fida

jism o jaan ye dil hai kya ye rooh bhi fida


peeran e peer ali mera dastageer ali

jaan e jahan

aaqa e man ali maula e man ali

jaan e jahan


aaye jo mushkil koi hai ye wazeefa mera

hai yehi aadat meri hai ye wazeefa mera

paanch namazon mein bhi hai ye wazeefa mera

mera vakeel ali rab ki daleel ali

jaan e jahan

aaqa e man ali...


ali ali ali ali maila ali ali ali


daulat e dunya hai kya sirf ali chahiye

maine khuda se kaha sirf ali chahiye

mera lahoo bol utha sirf ali chahiye

khuld nahi ay khuda sirf ali chahiye

kuch nahi iske siwa sirf ali chahiye

kar de mujhe tu ata sirf ali chahiye

dil mein utaar ali bas ek baar ali

jaan e jahan

aaqa e man ali...


ali ali ali ali maila ali ali ali


dunya ne jaana nahi tujhko magar haye ali

rota tha tanhaiyon mein baith kar haye ali

roya kabhi qabr e sayyeda par haye ali

sajde mein zakhmi hua tera sar haye ali

karbobala mein luta tera ghar haye ali

bhoole na ahle aza haye ali haye ali

tujhpe hui jo jafa haye ali haye ali

pursa hai maula tujhe mazhar o farhan ka


ya maktool ali ali

ya mazloom ali ali

ya mehroom ali ali

ya maula ali ali

ya hyder ali ali

ya rehbar ali ali

ya aaqa ali ali

ya maula ali ali

ya maula ali ali