Kanz e Aza

Ali Jaisa Namazi

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mujeeb Alipuri. Lyrics in Roman Urdu.

ali jaisa namazi todta hai dum musalle par

manati hai namazein murtaza ka gham musalle par


bujha kar zehr may shamsheer apni ibne muljim ne

lagayi us ghadi zarbat lagayi ibne muljim ne

ali e murtaza ne jab kiya sar kham musalle par

ali jaisa namazi...


shaqi ne waar sheh par ain sajde may kiya aisa

sar e hyder hua do neem ubla khoon ka darya

tadapta reh gaya sultane do aalam musalle par

ali jaisa namazi...


khuda jaane ye himmat kaisi dikhlayi hai shabbar ne

namaze fajr ki takmeel phir bhi ki hai shabbar ne

ali ke sar se behta tha lahoo paiham musalle par

ali jaisa namazi...


sada deta hai kufa keh raha hai bait e daawar bhi

gawahi de rahe hai masjid o mehraab o mimbar bhi

hai ab bhi mehwe sajda waarise aadam musalle par

ali jaisa namazi...


jabeen sajde may hai aur zehn may kufa ka manzar hai

nazar may zakhmi sar hai nauha e hyder labon par

ke aansu kar rahe hai shaah ka matam musalle par

ali jaisa namazi...


rulaati hai hamesha shaah e khyber geer ki yaadein

sada tadpati rehti hai hamay shabir ki yaadein

namazon ke liye aate hai jab bhi ham musalle par

ali jaisa namazi...


lahoo rehan roye waaris e kaaba ki furqat may

mujeeb afkaar ne nauhe padhe roze ki haalat may

kiya unnisween ramzan ne bhi matam musalle par

ali jaisa namazi...