Kanz e Aza

Chod Kar Bali

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mujeeb Alipuri. Lyrics in Roman Urdu.

kya nabi ki aal par aayi musibat ki ghadi

tha qayamat ka samaa aur bibiyon mein khalbali

waqt e ruqsat baap ke seene pe rakh kar apna sar

dukhtare shabbir ro ro kar ye farmane lagi


chod kar bali sakina ko abhi jaana nahi

jo bhi maqtal mein gaya wo laut kar aaya nahi


dayr kitni hogayi aun o mohamed ko gaye

do ghadi mein maa ke armaano ke laashe aagaye

shukr ke sajde se ab zainab ka sar uth'ta nahi

chod kar bali sakina ko...


naujawani laashe qasim par sisakti reh gayi

umme farwa raasta bete ka takti reh gayi

aaye tukde laash ke qasim magar aaya nahi

chod kar bali sakina ko...


kehdo saqqa se ke ab pani na mujhko chahiye

alqama ko chod kar ab jald ghar aajaiye

wo makaan zindan hai jis mein mera saqqa nahi

chod kar bali sakina ko...


bibiyon mein hai abhi kohraam barpa dekhiye

dayr se behosh hai maa umme laila dekhiye

baba jaan ab tak ali akbar bhi ghar lauta nahi

chod kar bali sakina ko...


legaye thay aap asghar ko sar e maidan kyun

kya hua bano ka quran khaali hai juzdaan kyun

ab kahin bhaiya ali asghar nazar aata nahi

chod kar bali sakina ko...


kaash mai hi qatl ho jaati bajaye aap ke

kaun ab mera sahara hai siwa e aap ke

choote saare aqroba ansaar bhi zinda nahi

chod kar bali sakina ko...


bin tumhare baba jaan ghut ghut ke mar jaungi mai

kis ke seene par bhala raaton ko soungi mai

chod kar beti ko jaana aap ka acha nahi

chod kar bali sakina ko...


karbala ke dam mein khoon rote rahe mohsin mujeeb

bain ye karti jab dukhtare shaahe ghareeb

natawan bhai abhi bistar hai utha nahi

chod kar bali sakina ko...