dasht-e-bala mein sarwar basti basa rahe hain
yasrab ke rahne wale aansoo baha rahe hain
1. ubhra hassan ke qath se har ek lafz-e-ulfat
tahreer pao ke moula aansoo baha rahe hain
2. sarvar se keh rahe hain shahed se bhi shiri
kya maut ka mazaa hain qasim bata rahe hain
3. jis naazni ko sarwar dulha bana chuke kal
us naazni ki mayyat sarwar utha rahe hain
4. kohram ek barpa hai ehle haram mein harsoo
dulha ki laash rakhney masnad bicha rahe hain
5. farwa dulhan ko zainab laashe pe leke boli
sehrey ke phool sabko phir khoon rula rahe hain