farwa ke dulare aye qasim
kyon chodgaya mujh ko dilbar
ab gham se tere phat ta hai jigar
bin tere bata dukhiya madar
din kaise guzarey aye qasim
1. kubra ne kaha waali utho
khamosh ho kyun ab kuch to kaho
tum chod gaye mujh ko bolo
ab kis ke saharey aye qasim
2. iss tarha mera ujda hai chaman
pamaal huwa hai tera badan
masroof-e-buka hain rooh-e-hassan
ab gham mein tumharey aye qasim
3. aye lal mere sotay ho kaha
kis tarha tumhe dhundegi yeh maa
hai gham se mere ankhon mein dhuvan
maa kis ko pukare aye qasim
4. rokar yeh haram sab kehte hain
dulha ke badan ke tukde hain
jis tarha se ran mein bikhray hain
qurran ke parey aye qasim
5. khaimo mein hain shor-e-aaho buka
hain nouha kuna sara kunba
sar peet ti hain gham se kubra
tum jab se sidharey aye qasim
6. betab jo bache hotey hain
pani kay liye jaan khotey hain
abbas-e-dilawar sootey hain
dariya kay kinare aye qasim
7. aye mahve buka sajjad nazar
razvi ki hai ankhen ashkoon say tar
nouho mein hamare dijeye asar
hum sab kay sahare aye qasim