hai faza o mein imam e asr ki zaqmi sada, sabera masooma zehra syeda ya tahera.
fatima zehra fatima zehra .
1.meri dadi tujpa sub ho shaam thi kaisi jafa
tera girya teri bechaini wo baad e mustafa
woh masayab ka ta sa sul aur woh tera housla.
2.kaise kaise dard ke manzar nigaho mein rahe
kaun jane tune kitne karb ek dil par sahe
tu ne qurban deen par apna bhara ghar kar diya.
3.sirf aathara baras ke sin mein aye bintay rasool
doh qadam chalna bhi tujko hogaya mushkil batool
hogaya pehlu shikasta haat mein aaya aasa.
4.chadar e tatheer ki markaz woh bintay mustafa
jisko khaliq ke nabi ne baz a tum minni kaha
zulm ne uska kalega tukde tukde kar diya.
5.ek bete ka kaleja zehr se tukdeh hua
dasht mein pamal ek bete ka lasha ho gaya
betiya dono hui balway mein haiii berida.
6. ye sitam sareh agar roshan dino par toot tay
woh nazar aatay sabhi tareekh mein dubey hue
aaj bhi rota hu mein sunkar woh tera marsiya.
7.ho gai duniya se ruksath jis ghadi bintay nabi
sar se aam mama utara aur bohut roe ali
aur yahi thay bain lab par ab mein tanha hogaya.
8.de rahe thay gusl moula fatima ko jis ghadi
jane kya guzri dil e muztar pe kyu tadpe ali
sabir o shahkir ali ne kis liye sehaa kiya.
9.baad marne ke bhi bibi kya sitam tuj par hue
qabr mein bhi shah zadi reh na pai chain se
zalima ne dha diya rouza tera ya fatima.
10.dukthar e bintay nabi hoti rahi paiham shaheed
dein imam e waqt ko ab milke ham pursa rasheed
dein imam e waqt ko pursa tadap kar dein sada.