Kanz e Aza

Har Durood aur Har

A noha for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

har durood aur har salaam

madare hussain tere naam


zaujaye ali e sar baland

fatema azeem arjumand

jiske aastane paak ke

qudsiyane arsh hai ghulam

har durood aur…


hai wo fatema wo fatema

aarzoo-e-qalb e mustufa

jiske laadle hassan hussain

jiski betiyan falak muqaam

har durood aur…


kat raha tha farte shaahe deen

chal raha tha khanjare layeen

bibi aap dekhti rahi

lut gaye haram jalay khayaam

har durood aur…


har durood aur salam

khwahare hussain tere naam


sani e janabe sayyeda

allah allah tera hausla

khoob ki hifazate haram

baad-e-qatle sayyede anaam

har durood aur…


bibi gham uthaye hai bahot

dil pe daagh khaaye hai bahot

tujpe ay hussain ki behan

hogayi musibatein tamaam

har durood aur…


karbala mein apne dilruba

kardiye hussain par fida

aun aur mohamed e jari

hogaye shaheed e tashnakaam

har durood aur…


daulate batool lut gayi

dukhtare rasool lut gayi

chin gayi saro se chadarein

jal gaye hussain ke qayam

har durood aur…


mayyatein padi hai bekafan

kya kare hussain ki behan

bekasi aur aisi bekasi

shaam aur karbala ki shaam

har durood aur…


inqilaabe waqt dekhiye

imtihane saqt dekhiye

sar khule rasool zadiyan

aur ahle shar ka ijtema

har durood aur…


har durood aur salam

dukhtare hussain tere naam


shimr kibriya ka waasta

tujko mustafa ka waasta

binte shaah be-gohar na thi

mubtela e gham hai tashnakaam

har durood aur…


shimr ke tamache khaye hai

bibi kitne gham uthaye hai

baap ki judaai kam na thi

tujpe qaid ke sitam khatam

har durood aur…


bibi aap par sitam hue

mar gayi pidar ka gham liye

haaye jeete ji na chut saka

qaid qaanaye ameere shaam

har durood aur…