HAR KHADAM PAR KARBALA THI ABID-E-BEEMAR THA
Haye is beemar ne kya kya sahe zulm-o-sitam
Kam qayamat se na tha uthta huwa har ek qadam
Haye rahe sham-o-kufa haye wo beemar-e-gham
Bekasi ki inteha thi abed-e-beemar tha
Qaid karke jis ghadi Ahle haram ko le chale
Sar shaheedon ke sina ki nok par humraah the
Dil ko thaame syed-e-sajjad sab dekha kiye
Bekasi ki inteha thi abid-e-beemar tha
Haye kya waqt-e-musibat abid-e-muztar pe tha
Baad qatl-e-shahe deen qaime jale ghar lut gaya
Samne jinke chhini aale payambar ki rida
Bekasi ki inteha thi abid-e-beemar tha
Karbala se shaam tak beemare gham ka wo safar
Jiski maa behne phirayi jarahi thi darbadar
Baap ko rota raha ta umr jo sham-o-seher
Bekasi ki inteha thi abid-e-beemar tha
Shaam ke zindaan mein tha shore faryad-o-fughaa’n
Jab sakina keh rahi thi ghut raha hai dum yahaa’n
Ab khudara le chalo mujhko yahaa’n se bhai jaa’n
Bekasi ki inteha thi abid-e-beemar tha
Haye wo aale payambar haye wo darbar-e-sham
Berida bazm-e-shaqi mein itrat-e-khairul anaam
Aahni zanjeer mein jakda huwa bekas imam
Bekasi ki inteha thi abid-e-beemar tha
Marhala darbar ka koi kare kyunkar bayaa’n
Moo ko aata hai kaleja aye Sohaile nauha khaw’n
Ek qaidi natawa pehne huwe tauqe garaa’n
Bekasi ki inteha thi abid-e-beemar tha