haye bemaar chala
bediyan pehne huwe khaafila salaar chala
haye bemaar chala
aa rahi hai dar o dewaar se rone ki sada
haye bemaar chala
haye jalti hai zameen aag ugalti hai zameen
koi saaya bhi nahi
aabile pad gaye pairon mein badan tapne laga
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...
pair kya haathon pe gardan pe pade hai chaale
koi pani daale
tapte hai tauq o salasil hai bahot garm hawa
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...
kaante chub jaate hai chaale kabhi chil jaate hai
haye dukh paate hai
haye kis haal mein hai ibne shahe karbobala
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...
aah karte hai to durron ki saza paate hai
yun tadap jaate hai
pa barehna ye aziyat ka safar aur ye jafa
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...
loriyan deke jise sulaate thay jise shaahe umam
hogaya kaisa sitam
ab wohi naazon ka paala hai giraftaar e bala
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...
taziyane kabhi maare kabhi pathar maare
haye sheh ke pyare
kis khadar zakhmi musafir pe hui jor o jafa
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...
cheekh uth'ti hai to zakhmon se lahoo behta hai
har sitam sehta hai
kis se faryad kare bhai na baba na chacha
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...
shimr se bali sakina ko chudaye kaise
jaan bachaye kaise
hatkadi haathon mein hai tauq mein jakda hai gala
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...
sar khule maayein hai behnein hai sitamgaaron mein
haye bazaron mein
sar jhukaye huwe rota hua khuddar chala
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...
dekh kar bete ki haalat ko tadap uth'ti ha maa
ye bhi hota hai gumaan
aa na jaaye kahin bemaar ko raste mein qaza
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...
haye kis haal mein hai sibte payambar ka pisar
khaak udao gohar
peet kar seena o sar bain karo ahle aza
haye bemaar chala
bediyan pehne huwe...