jawani bain karti hai ali akbar ke laashe par
zaeefi aagayi mujh par tere gham mein ali akbar
jawan bete ke seene par jo roya toot ke naiza
zaeefi mein shahe waala ke dil pe chal gaya khanjar
jawani bain karti hai...
bada armaan tha usko ali akbar ki shadi ka
chupa lo laash akbar ki kahin na dekh le maadar
jawani bain karti hai...
jhulasti dhoop mein hai ek pyase sher ka laasha
lahoo kyun roye na aankhein qayamat khaiz hai manzar
jawani bain karti hai...
sar e saahil tadapta reh gaya abbas ka laasha
chale shabbir jab tanha utha kar laasha e akbar
jawani bain karti hai...
kahan ho haahmi sheron akele hai shah e waala
koi imdaad ko aao pukari zainab e muztar
jawani bain karti hai...
rahi jab tak bhi maa zinda yehi kehti rahi haye
ali akbar ali akbar ali akbar ali akbar
jawani bain karti hai...
ali akbar ke hujre ko sajaati reh gayi sughra
na aaya laut kar bhai to gham se mar gayi khwahar
jawani bain karti hai...
woh apne chaand se bete ka sehra dekh na paayi
ali akbar ki maa ko bas yahi gham kha gaya gohar
jawani bain karti hai...