Kanz e Aza

Karbala Noke Sina

A noha written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

karbala noke sina se ye khabar laayi hai

zindagi maut ki sehra se guzar aayi hai


ek chiraaghe shabe ashoor ne gul ho kar bhi

farsh se arsh talak roshni phailayi hai

karbala noke sina se...


ishqe shabbir mein behne ke liye nehre furaat

hum azadaron ki aankhon mein simat aayi hai

karbala noke sina se...


hum ko imraad e dil o jaan ka koi khauf nahi

hum ne roohon ke maseeha se shifa paayi hai

karbala noke sina se...


apne haathon se banayege muqaddar apna

hum ne shabbir ke matam ki qasam khaayi hai

karbala noke sina se...


lag gayi kya ali akbar ke kaleje pe sina

sar khule binte ali ghar se nikal aayi hai

karbala noke sina se...


chaa gaye shaam e ghariban ke andhere ban mein

aale ahmed pe qayamat ki ghadi aayi hai

karbala noke sina se...


aa ke abbas ke marqad pe kaha zainab ne

utho abbas e dilawar ke behen aayi hai

karbala noke sina se...


har zamane ne ye tasleem kiya hai gohar

karbala waqt ki sab se badi sachayi hai

karbala noke sina se...