baad e ashoor jo kiya hum pe sitam
karbala se kufa o shaam be makna o chadar
rassiyon mein hai jakde le gaye shaam
haye shaam haye shaam
karbala se shaam karbala se shaam
jiya jab talak wo bekas imam
yehi thi fughan labon par mudaam
nahi bhoolunga kabhi raahe shaam
layeeno ka tha jahan azdo haam
khule sar jahan haram thay tamaam
haye shaam...
karbala se shaam...
meri aankhon se rawan ashk thay
haram shaah ke sabhi sar khule
zuban par meri fughan thi yehi
chali karb par mere ye churi
layeen le rahe thay zainab ka naam
haye shaam...
karbala se shaam...
mera ghar luta mera dar luta
huwe qatl sab padar bhi mera
mere tifl bhi rahe tashnalab
hua qaid bhi sabhi be-sabab
chini chadarein jale sab qayaam
haye shaam...
karbala se shaam...
jafa par jafa nahi inteha
magar ki nahi kabhi bad'dua
imamat ka ye kathin tha safar
chali betiyan ali ki jidhar
chale saath mein sitamgar tamaam
haye shaam...
karbala se shaam...
karun kya bayan mai wo sakhtiyan
sar e raah thi sabhi bibiyan
isi dard se phata hai jigar
ali ke haram rahe nauhagar
sitam ke nahi kahin ikhtetaam
haye shaam...
karbala se shaam...
abhi tak mujhe wo sab yaad hai
dayaar e sitam haram jab gaye
saron par wahan barasne lage
kahin sang aur kahin kehkahe
bhulaya gaya nahi wo maqaam
haye shaam...
karbala se shaam...
ye nauha nahi ye hai marsiya
hassan kis tarha bayan ho bhala
qalam bhi mera tadapne laga
hui zapt ki yahan inteha
chala kanton par wo mera imam
haye shaam...
karbala se shaam...