Kanz e Aza

Karbala Tujh Pe Jo Qurban Bahattar Karde

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Zaat e Shabbir hai Jo, Tujhko Ujaagar Karde

1)Zakhm tu Dekhna Chaa, hay gar Kisi Barchi Ka

Pal Mai Haazir Woh Tujhe, Seena e Akbar Karde

2)Maut Islam Ki Hur, mal Ka Agar Teer Banay

Deen Bachanay Ke Liye, Saamne Asghar Karde

3)Arsh Ke Baad Faqqat, Tu Hi Mualla Hoga

Laal Zahra Ka Tera, Aisa Muqaddar Karde

4)Maangti Khoon Hai Nabi-yon se Bhi Dharti Teri

Wohi Sabir Hai Jo Be-ton Ko Nichawar Karde

5)Mansab e Ghairat e Uz-Ma Bhi Ata Usko Karay

Naam e Sajjad Likhay, Aur Musaafir Karde

6)Har Dua Aaye Woh Sha-Bbir Tere Sehra Mai

Khoon e Sheh Rag Se Jo Ye, Dasht Muattar Karde

7)Kitni Mazboot Balaa-ghat Hai Sar e Nayza Bhi

Jumbish e Lab Se Jo Zai-nab Ko Bhi Haider Karde

8)Behr e Takmeel Ibaa-dat hai Woh Shabbir Sakhi

Jhukay Sajde Mai To Phir, Sajda e Akhir Karde

9)Shah e karbal Tere Dar, Se Hi Ata Ho Noha

Likhay Adil Aur Had, Parhne Ki Ansar Karde