karbala waalon
tumhara gham rahe zinda hamesha karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko zahra karbala waalon
tumhara gham rahe zinda...
lahoo mein doob kar apne kiya sairaab darya ko
tumhari pyaas ka ab tak hai charcha karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko...
tumhara gham rahe zinda...
koi pyasa nahi dunya mein ab itni sabeelein hai
tumhara hogaya saara zamana karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko...
tumhara gham rahe zinda...
hum apne marne waalon ka bhi gham karte nahi is mein
moharram hai tumhara aur rahega karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko...
tumhara gham rahe zinda...
imam e asr se keh do kisi surat chale aaye
sakina shaam mein ab tak hai tanha karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko...
tumhara gham rahe zinda...
khuda par baat aa jaaye to sar pyara nahi karte
sikhaya tumne ye sab ko saleekha karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko...
tumhara gham rahe zinda...
tumhare naam ki majlis har ek shadi mein hoti hai
khushi mein bhi tumhara gham hai taaza karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko...
tumhara gham rahe zinda...
tumhara marte dam tak rasta takti rahi sughra
madine tum nahi aaye dobara karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko...
tumhara gham rahe zinda...
na jaane kitne din karti rahi hai dhoop sehra ki
tumhare bekafan laashon pe saaya karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko...
tumhara gham rahe zinda...
ali ki betiyon ke saath pathar tum ne khaye hai
gaye naizon pe tum shaam o kufa karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko...
tumhara gham rahe zinda...
kahin pani pilaane par takallum ko bhi rakh lena
jahan mein aaoge jab tum dobara karbala waalon
duayein deti hai tum sab ko...
tumhara gham rahe zinda...