lo mil gayi zindan se sakina ko rehaai
sajjad ne ye kehte hue laash uthaai
lo mil gayi....
baba chale aao ke mai tanha hoo yahan par
bas itna bata jao ke dafnaun kahan par
kya qaid may hi dafn kare behn ko bhai
lo mil gayi....
ghar jaane ki hasrat o barabar na hui par
dam toot gaya hogayi azaad tu dukhtar
maa beti ka choom ke deti thi duhaai
lo mil gayi....
ab shimr tamache na isay maar sakega
aaram se soyegi tahe khaakh ye dukhiya
laashe se yehi kehti rahi fatima jaayi
lo mil gayi....
bhai ne zameen khod ke jab qabr sawari
rote hue mayyat suye turbat jo utaari
zindan ki dewaron se awaaz ye aayi
lo mil gayi....
band aankhein kiye qabr may aaram karegi
maa shaana hilati rahe phir bhi na uthegi
yun maut ne lori hai sakina ko sunaai
lo mil gayi....
abid pe takallum wo musibat ki ghadi thi
jin haaton may kheli thi wo masoon si bachi
un haaton ne turbat bhi sakina ki banayi
lo mil gayi....