meri sakina soja
aaja asghar ki jagah meri sakina soja
jaagti maa ne kaha meri sakina soja
aaja asghar ki jagah...
jo tujhe khauf hai shayad mai usay kam kar doo
aaja aankhon pe tere naade ali dam kar doo
door kyun baiti hai aa meri sakina soja
aaja asghar ki jagah...
baap ke seene pe aadat hai tujhe sone ki
meri godhi tere qaabil to nahi hai phir bhi
hai mere dil ki sada meri sakina soja
aaja asghar ki jagah...
chaar barson mein na zehmat di kabhi tune mujhe
apni khidmat ka mujhe aaj to mauka de de
hoga ehsaan tera meri sakina soja
aaja asghar ki jagah...
qaid khane mein jo aa jayenge tere baba
khud utha dungi tujhe shaana hila kar tera
acha kuch dayr zara meri sakina soja
aaja asghar ki jagah...
mujhse dekha nahi jaata ye tera darde jigar
ye batate hue acha to nahi lagta magar
ab na aayenge chacha meri sakina soja
aaja asghar ki jagah...
saabiron ka ye kareena to nahi hai bibi
ye hai pardes madina to nai hai bibi
karke bas shukre khuda meri sakina soja
aaja asghar ki jagah...