Kanz e Aza

Mujhe Baba ka Sar

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

bhaiya sajjad

ye meri aakhri shab hai sakina ne kaha bhaiya

mujhe baba ka sar laa do


sakhi ke laal ho ye aakhri khwahish na radh karna

tumhare ghar ka shewa ghareebon ki madad karna

sawali hai jale daaman ko phailaye huwe dukhiya

mujhe baba ka sar laa do

ye meri aakhri shab hai...


padar ke baad beti ka tamachon par guzara hai

bataungi unhe shimr e layeen ne kaise maara hai

zara nazdeek se aa kar wo mera dekhle chehra

mujhe baba ka sar laa do

ye meri aakhri shab hai...


ajab haalat may dekha tha sar e darbar baba ko

nahi pani mayassar qaid khane may sakina ko

mai apne aansuon se dho'ungi mazloom ka chehra

mujhe baba ka sar laa do

ye meri aakhri shab hai...


mai royi jab padar ko shimr ne badla liya tum se

qasam hai mujhko baba ki mera waada raha tum se

sakina na ab na royegi na ab khaoge tum durra

mujhe baba ka sar laa do

ye meri aakhri shab hai...


zuban hai khushk itni baat karna mujhpe bhari hai

tumhe maloom hai bhai sakina kab se pyasi hai

magar karti nahi dukhiya taqaza tum se pani ka

mujhe baba ka sar laa do

ye meri aakhri shab hai...


padar ka dekh kar chehra sada bedaar hoti thi

shab e ashoor tak unki ziyarat kar ke soti thi

zara dekho in aankhon ne unhe kab se nahi dekha

mujhe baba ka sar laa do

ye meri aakhri shab hai...


pareshan ho agar koi tasalli dete jaate hai

suna hai marte dam apno se milne ko wo aate hai

hai mujhpe nazha ka aalam chali mai chod kar dunya

mujhe baba ka sar laa do

ye meri aakhri shab hai...


takallum sar jab aaya qaid khane may qayamat thi

adhoori reh gayi baatein hui khamosh shehzaadi

faza may goonjta hai shadman ab tak yehi nauha

mujhe baba ka sar laa do

ye meri aakhri shab hai...