Kanz e Aza

Na Alam Na Chacha

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

na alam na chacha na shahe karbala

shaam hogayi

jo bhi ghar se gaya wo na phir aa saka

shaam hogayi


raah takti rahi shiddate pyas mein

kat gaya din isi aas hi aas mein

koi aaya nahi jaane kya hogaya

shaam hogayi

na alam na chacha…


pani lene gaye dayr kitni huwi

din dhala ay chacha sham-e-gham aagayi

khushk hai ay chacha mera ab tak gala

shaam hogayi

na alam na chacha…


kisko aawaz doo huk ke maidaan mein

kaun hai jo sune is biyaban mein

de rahi hoo tumhe jaane kab se sada

shaam hogayi

na alam na chacha…


laut aao ke pani nahi chahiye

khao mujh par taras ab khuda ke liye

mashk khaali hi le aao ab to chacha

shaam hogayi

na alam na chacha…


jaa ke maidaan mein baba bhi aaye nahi

ab to jhoole mein asghar bhi haye nahi

qaima jalta hai yun jaise koi diya

shaam hogayi

na alam na chacha…


ro rahi hai phuphi chin gayi hai rida

maarte hai tamache mujhe ashkiyan

qaima jalta hai yu jaise koi diya

shaam hogayi

na alam na chacha…


baazu'on mein rasan baandhne aa gaye

khaynch ke legaye durr mere kaan se

hogaya khoon se tar saara kurta mera

shaam hogayi

na alam na chacha…


lo chacha suye zindan chali ghamzada

alvida alvida ay qateel-e-jafa

lijiye aap se ho rahi hoo juda

shaam hogayi

na alam na chacha…


nauha rehaan majlis mein sunke tera

chasme giriyan ko ye hosh kab hi raha

kab sahar hogayi aur kab dhin dala

shaam hogayi

na alam na chacha…