Kanz e Aza

Ro Ro ke Bayan

A noha written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

ro ro ke bayan karti thi ye zainab e nashaad

ay sayyade sajjad ay sayyade sajjad


ab hosh mein aao ke hua ghar mera barbaad

ay sayyade sajjad ay sayyade sajjad


maare gaye abbas e dilawar labe darya

pamaal hua ran mein tere baap ka laasha

qaime bhi jale jal gaya masoom ka jhoola

jal jaaye ke jaan apni bachaye karo irshaad

ay sayyade sajjad...


mai roti rahi akbar e mehroo gaye maare

bhai pe fida aun o mohamed huwe pyare

sab chup gaye is dasht mein aankhon ke sitare

chalti thi churi bahi pe mai karti thi faryaad

ay sayyade sajjad...


baazu ko mere choom ke baba ne kaha tha

ek roz rasan baazu mein baandhenge ye aada

mai kehti thi kyun kya mera abbas na hoga

reh reh ke mujhe baat yehi aati hai ab yaad

ay sayyade sajjad...


baazu kate abbas ke mai dekh rahi thi

naiza laga akbar ke kamar sheh ki jhuki thi

asghar ke laga teer qayamat ki ghadi thi

hai zakhm jo is dil pe nahi unki hai tadaad

ay sayyade sajjad...


ay laal chalo yan se ke zindan ka safar hai

chadar ki jagah khaak bani zeenat e sar hai

aamada jafa par yahan har baani e shar hai

ab uth ke to dikhlao zara quwwat e ajdaad

ay sayyade sajjad...


hona hai abhi tum ko bhi paband e salasil

rota hai tujhe dekh ke beta ye mera dil

ab jald chalo door bahot apni hai manzil

sehni hai bahot tum ko abhi raah mein uftaad

ay sayyade sajjad...


rehaan tu is waqt faqad itni dua kar

is majlis e shabbir mein haathon ko utha kar

ay jaane nabi roohe nabi sibte payambar

mehshar mein sunaun mujhe nauha ye rahe yaad

ay sayyade sajjad...