Ro ro ke madeene walo se, sab haal saunaya zainab ne
Jo ajre risaalat me paaya, wo neel dikhaaya zainab ne
Ji bhar ke na rone paayi thi , jab shaam ke zindaa'n se chooti
Is tarah madeene me royi, dunya ko rulaaya zainab ne
Atthara baras ke paale ko , cheh maah ke bhole bhaale ko
Bhai ko bachaane ki qaatir , haatho'n se ga'waaya zainab ne
Ye koun zayeefa baithi hai, pehchaan na paaye abdullah
Kuch jaan na paaye abdullah, Yu'n sog manaaya zainab ne
Fitrat ko badalne ki qaatir, Baatil ko palatne ki qaatir
Dunya ko badalne ki qaatir, Beto'n ko badhaaya zainab ne