Roke Zainab Ne Kaha Aagaya Chelum Tera
Khabr Par Shabbir Ki Dukzada Hamsheer Thi Aur Nouha Lab Pa Tha Aagaya Chelum Tera
Qaid Se Hokar Reha Aaye Zainab Karbala
Hoke Bhai Berida Aagaya Chelum Tera
Sunlo Rudad-e-safar Lutgaya Amma Ka Ghar
Hum The Aur Ahle Jafa Aagaya Chelum Tera
Sham Ki Rahoun Pa Jab Dekkhar Hastate Sab
Hashr Barpa Hogaya Aagaya Chelum Tera
Kufe Ke Bazar Main Sham Ke Darbar Main
Pasban Koyee Na Tha Aagaya Chelum Tera
Yaad Aaye Us Ghadi Hum Ko Jo Abbas Ki
Hogaye Jab Berida Aagaya Chelum Tera
Aap Ki Wo Laadli Zulm Har Sehthi Rahi
Aagayee Us Par Qaza Aagaya Chelum Tera
Yad-e-akbar Main Ye Maa Roke Kerthithi Bayan
Aey Shabhi-e-mustafa Aagaya Chelum Tera
Turbat-e-abbas Par Hain Haram Ab Nouh Agar
Aey Shaed-e-ba Wafa Aagaya Chelum Tera
Ek Rasan Sab Ke Gale Qaid The Chote Bade
Touq Main Bimar Tha Aagaya Chelum Tera