shaahinshahe tashnalab ke bhai , abbas utho zainab aayi
Sar bhai ka shaam se hai laayi, abbas utho zainab aayi
Shabbir ki laadli sakina, zindaan me chut gayi sakina
poocho to kahaa'n rahi sakina, abbas utho zainab aayi
ae sheh ke baraadare wafaadar, pohnchaao watan utho alamdar
zindaane bala se chute ghamqaar, abbas utho zainab aayi
Ham gheerate murtaza utho to, dekho to behe ke baazuo'n ko
Kis zulm ke ye nishaa'n hai pucho, abbas utho zainab aayi
Shabbir ki lash utha ke laao, Be sar ke badan se sar milaao
Be gor ko gor me sulaao, abbas utho zainab aayi
Chehlum hai hussaine bekafan ka, mazloomo ghareebo bewatan ka
Paamaal shuda shikasta tan ka, abbas utho zainab aayi
Ummat ke sitam se phir ke dar dar, be maqnao berida khule sar
darbaar me jaake binte hyder, abbas utho zainab aayi
Hai shor nagee'n kahaa'n hai asghar, qasim hai kaha'n kaha'n hai akber
Hai aale nabi me taaza mehshar, abbas utho zainab aayi