Kanz e Aza

Shaam Aa Rahi Hai

A noha for Darbaar e Shaam, written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

shaam aa rahi hai dil par hazaron

sadme uthaye beti ali ki

haste hai saare bazaar waale

roti hai haye beti ali ki


jaana hai usko darbar e shaami

charon taraf hai majma sharabi

zainab ke sar par chadar nahi hai

kis tarha jaye beti ali ki

shaam aa rahi hai…


tha jiska bhai abbas e ghazi

hai aaj qaidi wo shahazadi

ye shor sun kar ghairat ke maare

kahin mar na jaye beti ali ki

shaam aa rahi hai…


charon taraf hai maahol aisa

jaise laga ho koi tamasha

abbas aaja chadar udha jaa

ghabra na jaye beti ali ki

shaam aa rahi hai…


zulfein pakad kar shimr e layeen ne

maare tamache tadpi sakina

zainab ke dono baazu bandhe hai

kaise chudaye beti ali ki

shaam aa rahi hai…


jo ke pali thi tukdo pe unke

azaad hai wo adna kaneeze

kaisi qayamat aayi hai ya rab

qaidi hai haye beti ali ki

shaam aa rahi hai…


barsa rahe hai pathar sitamgar

lagte hai pathar bibi ke sar par

baazu bandhe hai bebas hai khud ko

kaise bachaye beti ali ki

shaam aa rahi hai…


tharraye naize se roke sar bhi

gir gir ke tadpe farshe zameen par

haalat pe apni royi tadap kar

yun sar jhukaye beti ali ki

shaam aa rahi hai…


waada kiya tha usne khuda se

roshan karegi tera naam chaahe

bazaar jaye darbar jaye

zindan jaye beti ali ki

shaam aa rahi hai…


sajde bachaye kaaba bachaye

quran bachaye deen ko bachaye

farshe aza par ashke aza ko

gohar banaye beti ali ki