Lut Ke Jab Kafla Shireen Ke Maka'an Tak Pohncha
Nook e Neza Sy Yea Anay Lagi Mola Ki Sada
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya
Ghar Mera Lut Gaya
Zainab Hai Be Rida
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya
1. Kuch Dair Ke Liye Hai Tere Ghar Main Bus Qayam
Jaldi Sy Kar Ghareeb Ki Majlis Ka Ehtamam
Aye Hain Fatima Farsh e Aza Becha
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya
2. Maray Hain Sang Shehr Ke Logon Ne Is Qadar
Behnon Ke Sath Sath Hai Zakhmi Mera Bhi Sar
Pechan Abb Zara Chehra Lahu Bhara
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya
3. Woh Keh Rahi Thi Bhai Mujhay Sharm Ayegi
Shireen Ko Bint e Fatima Kya Mou Dikhaye Gi
Zainab Hai Be Rida Ghar Ke Diye Bujha
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya
4. Pairon Sy Meri Behnon Ke Kante Nikal Ly
Woh Dekh Gir Rahi Hai Sakina (sa) Sambhal Ly
Lekar Tumhare Ghar Pyason Ka Kafla
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya
5. Rukhsat Ke Din Ridain Di Thi'n Kis Liye
Sar Nangay Meray Kunbay Ki Halat Se Jaan Le
Abb Waqt Agaya La chadarei'n Wo La
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya
6. Zakhmon Se Chor Chehray Ko Pechanti To Ho
Mehman Tum Hussain (as) Ko Abb Manti To Ho
Badh Kar Utaro Phir Nezay Se Sir Mera
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya
7. Barat Leke Aya Hoon Karyal Jawan Ki
Halat Magar Ajeeb Hai Is Khandan Ki
Dulha Ke Sath Hai Nezay Py Sar Mera
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya
8. Tanay Tou Roz Sunti Thi Woh Bhool Jayenge
Itnay Ameer Log Teray Ghar Keun Ayenge
Jao Un Sy Kehday Jab Nezay Py Hoon To Kea
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya
9. Shireen Rida Sambhal Ke Dar Ki Taraf badhi
Haye Hussain (as) Keh Ke Takallum Woh Ro padhi
Zakhmi Labo'n Se Jab Anay Lagi Sada
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ne Di Sada
Shireen Main Agaya