tasbeeh e hussain ibne ali qaidi bani hai
kaano se lahoo jaari hai aur shaam chali hai
darbar may itrat hai mohamed ki ay logon
baalon se jo dhaampe huwe chehre ko khadi hai
tasbeeh e hussain ibne ali...
bazaar ke har mod pe gir jaati hai thak ke
shabbir ki beti hai ye naazon se pali hai
tasbeeh e hussain ibne ali...
poocha gaya kyun bol nahi sakti sakina
maa boli meri bachi ki gardan jo bandhi hai
tasbeeh e hussain ibne ali...
darbar may zahra ki tarha chup hai ye bibi
parda hi bana de jo musalman koi hai
tasbeeh e hussain ibne ali...
baba ka gala shimr ka khanjar hai nazar may
maqtal ko sakina bhi kahan bhool saki hai
tasbeeh e hussain ibne ali...
kehti hai mere baba bhi be-gor o kafan thay
be-gor o kafan aaj sakina bhi chali hai
tasbeeh e hussain ibne ali...
sajjad ne kadiyon may uthaaya hai janaza
kehte hai batool aaj qayamat ki ghadi hai
tasbeeh e hussain ibne ali...