Kanz e Aza

Wo Shaam ki Musibat

A noha for Darbaar e Shaam, written by Sabina Jafri. Lyrics in Roman Urdu.

wo shaam ki musibat zainab ke dil se poocho

darbar ki wo aafat zainab ke dil se poocho


darbariyon ka majma zainab ke dil se poocho

chaadar ka cheen jaana zainab ke dil se poocho

wo shaam ki musibat...


mushkil kusha ki beti rassi mein baandhi jaaye

wo baazuon ka dukhna zainab ke dil se poocho

wo shaam ki musibat...


bachon ka bilbilana pyason ka wo tadapna

bhai ka yaad aana zainab ke dil se poocho

wo shaam ki musibat...


bachi wo sehmi sehmi aur haye wo yateemi

us par tamache khana zainab ke dil se poocho

wo shaam ki musibat...


paon mein jiske chaale wo tauq ko sambhale

abid ka haye girna zainab ke dil se poocho

wo shaam ki musibat...


darbar ki musibath bazaar ki aziyath

zindan mein qaid rehna zainab ke dil se poocho

wo shaam ki musibat...


wo raat ka andhera bachi ko yaad karke

bano ka wo tadapna zainab ke dil se poocho

wo shaam ki musibat...


bhai ki wo wasiyath amma ki aah o zaari

baba ka yaad aana zainab ke dil se poocho

wo shaam ki musibat...


bewaarsi ka aalam wo sar ke gird matam

bachi ki wo shahadat zainab ke dil se poocho

wo shaam ki musibat...