Kanz e Aza

woh waqt yaqeenan ayega

A noha for Imam Mohd Baqar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Woh Waqt Yaqeenan AAayega


Maula...

Kabhi Aye Haqeeqat e Muntazar

Nazar Aa Libas e Majaz Mein Ke Hazaron Sajday Tarap Rahe

Hain Meri Jabeen e Niaz Main

Woh Waqt Yaqeenan Aayega, Woh Waqt Yaqeenan Aayega

Jab Hujjat e Daur Ke Hatho'n Mein

Ghazi Ka Alam Lehrayega


Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)

Allahumma ajjil li waliyyi kal faraj(a.t.f.s.)


1. Jis Din Sajjad Ke Ashqo'n Ki

Tadaad Bataye Jayegi Aur un Ashqo'n Ke Badle Mein

Talwar Chalayi Jayegi

Us Sar Se Jism Juda Hoga..(2)

Talwar Se Jo Takrayega


Alam Lehrayega, Lehrayega

Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)

Ya.. Mahdi!!


2. Har Ek Mazloom Ki Aas Hai Yeh

Hujjat Ka Shams Tuloo Hoga Phir Shaam Jigar Se Utregi

Sajjad Ka Khatam Ruku Hoga Phir Noor e Aman Yu Phelay Ga..(2)

Har Zulm Ko Rondha Jaayega


Alam Lehrayega, Lehrayega

Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)

Allahumma ajjil li waliyyi kal faraj(a.t.f.s.)


3. Dadi Ka Haq Woh Maange ga

Apni Talwar Ke Sath Kabhi

Jo Haath Ridaein Loot-te Hai

Kat Jayenge Woh Haath Sabhi

Tatheer Ke Ghar Ki Surat Phir..(2)

Koi Ghar Na Loota Jaayega


Alam Lehrayega, Lehrayega

Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)


4. Abad Baqaiyya Tha Jis Jaa

Woh Roza Kaise Toota Hai

Kis Kis Ne Yaha'n Kaise Kaise

Sadaat Ke Ghar Ko Loota Hai

Talwar Batati Jayegi..(2)

Woh Khoon Bahata Jaayega


Alam Lehrayega, Lehrayega

Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)


5. Baaghi Ki Beti Jis Ne Bhi

Choti Bibi Ko Bola Tha

Namoos e Nabi Ko Raho'n Mein

Durro'n Se Jis Ne Maara Tha

Un Sab Ko Bana Kar Qaidi Wo..(2)

Bazaar e Shaam Mein Laayega


Alam Lehrayega, Lehrayega

Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)

Ya.. Mahdi!!


6. Phir Ehlebait Madine Mein

Aabad Karenge Ghar Apna Aur Lenge Bani Hashim Mil Kar

Kuch Parde Daro'n Ka Badla

Abbas Ki Chup Bhi Tootegi..(2)

Besher Bhi Teigh Uthayega


Alam Lehrayega, Lehrayega

Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)


7. Gohar Mulko'n Ki Sarhad Se

Insaa’n Taqseem Nahi Hoga

Haan Naam Nehad Mazahib Mein

Qura’n Taqseem Nahi Hoga

Woh Adil Saari Duniya Ko..(2)

Ek Adl Ka Sheher Banayega


Alam Lehrayega, Lehrayega

Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)

Ya.. Mahdi!!

Allahumma ajjil li waliyyi kal faraj(a.t.f.s.)