jab hawaon may nami mehsoos ki abbas ne
ehtiyatan saans rokli abbas ne
mauje kausar sar utha kar dekhti hi reh gayi
itni unchayi par rakh di tashnagi abbas ne
ya abbas ya abbas
saja rakhi thi darya par ajab baarat pani ki
bahot karte thay ashrare yazidi baat pani ki
magar darya pe pahunche thokare maari chale aaye
batadi hazrate abbas ne auqaad pani ki
kate baazu chidi mashkeeza bachi reh gayi pyasi
zameen pe khoon bankar hogayi barsaat pani ki
ya abbas ya abbas
jahan bhi pani-o-mashk-o-alam ki baat chali
ali ke laal ke qadmon talay faraat chali
wafa-e-ishq-o-mohabbat ki kaayanat chali
dua-e-fatema zehra bhi saat saat chali
alam ke dam se hai ab tak hayaat pani ki
jari ki jeet hui aur maath pani ki
ya abbas ya abbas
wo ek mashk jo kausar samayt kar nikli
labon pe apne samandar samayt kar nikli
tabassum e ali asghar samayt kar nikli
jo ek zarb se laskhar samayt kar nikli
agar na kehti ye aab e hayaat pani ki
har ek nigaah se gir jaati zaat pani ki
ya abbas ya abbas
sakina bibi ke saqqe ali ke laal salam
jari sakhi asad-e-sher-e-zuljalaal salam
wafa ki aakhri hadke mahay kamaal salam
nahi hai dono jahan may teri misaal salam
tere kate hue baazu nijaat pani ki
tere badan ka pasina zakaat pani ki
ya abbas ya abbas
himayat-e-shah-e-mazloom may panah abbas
tabaat-o-jurrat-o-ghairat ki inteha abbas
janab-e-zainab-e-bekas ka aasra abbas
lab-e-faraath fakad tune ye likha abbas
hamari tashnalabi hai faraath pani ki
hayaat pyason ki thairi wafaat pani ki
ya abbas ya abbas
meri hayaat ka samaan nasir-e-shabbir
badalta rehta hai jo kaayanat ki taqdeer
faraat-o-mashq-o-alam jis ki hashr tak jageer
mai aur ye meri tanzeem iske dar ke fakheer
bahegi chasm-e-aza se faraat pani ki
chalegi majlis-o-matam may baat pani ki
ya abbas ya abbas