haye lut gaya zahra ka pariwar
ya ahmed e mukhtar
kehti thi yehi zainab e ghamkhwar
ya ahmed e mukhtar
bhai se hui dasvi moharram ko judaai
maqtal mein sahar gyara moharram ki jab aayi
naize pe hua bhai ka deedar
ya ahmed e mukhtar
haye lut gaya...
karte hai bade zulm sakin ape sitamgaar
thay bosagahe hazrate shabbir jo rukhsaar
hai surkh tamachon se wo rukhsaar
ya ahmed e mukhtar
haye lut gaya...
namoos kabhi aap ki nikli nahi ghar se
bechadari dar pesh hai aur shaam ke raste
har gaam hai pur khaar aur sharar baar
ya ahmed e mukhtar
haye lut gaya...
ye saani e zehra pe musibat ki ghadi hai
wo majma e aghiyar mein beparda khadi hai
aur naize pe hai farqe alamdar
ya ahmed e mukhtar
haye lut gaya...
jab shimr lagata hai sakina ko tamacha
nachaar ye sajjad se ho jaata hai khadsha
bemaar na jee payega zinhaar
ya ahmed e mukhtar
haye lut gaya...
jis dar pe diya karte thay jibreel salami
us dar ke makeeno ke tamashayi hai shaami
us din ka tasavvur bhi tha dushwaar
ya ahmed e mukhtar
haye lut gaya...
athara baradar hai mere nok e sina par
jab un pe tamashayi ye barsate hai pathar
dil pe mere chal jaati hai talwaar
ya ahmed e mukhtar
haye lut gaya...
mar jaate hai atfaal e haram tashna labi se
kya kya na mile zakhm hamay fauje shaqi se
pani bhi nahi dete jafa kaar
ya ahmed e mukhtar
haye lut gaya...
nauha jo hameed abidi zainab ne sunaya
ye naala o shewan labe kulsoom pe aaya
hai waqt e madad hyder e karrar
ya ahmed e mukhtar
haye lut gaya...