di jo akbar ne azan allahu akbar
ro diye kaun o makan
allahu akbar allahu akbar
naara e takbeer goonja bar sar e karbobala
lehja e akbar mein tanha jaane kaisa soz tha
gir gayi ghash kha ke maa allahu akbar allahu akbar
di jo akbar ne azan...
aise ruk ruk kar jo aati hai sada takbeer ki
ye moazzin ko satata hai ghame tishna labi
khusk hai uski zaban allahu akbar allahu akbar
di jo akbar ne azan...
zabt karna chaahte thay zabte gham na kar sake
sunke hamshakle payamabr ki azan rone lage
khud imame ins o jaan allahu akbar allahu akbar
di jo akbar ne azan...
is azan ke baad hongi sakhtiyan dar sakhtiyan
waaliyon ko dekhna hai bar sare nok e sina
ro rahi hai bibiyan allahu akbar allahu akbar
di jo akbar ne azan...
muztarib hai jo sakina usko ye ehsaas hai
is azan se do pahar par furqat e abbas hai
sakht hoga imtehan allahu akbar allahu akbar
di jo akbar ne azan...
lashkare shabbir mein hai har taraf aah o fughan
de raha hai karbala mein yusuf e saani azan
ro raha hai aasman allahu akbar allahu akbar
di jo akbar ne azan...
qaima e shabbir mein sab bibiyan hai dil figaar
dar pe qaime ke azan sun kar hai zainab bekaraar
le rahi hai siskiyan allahu akbar allahu akbar
di jo akbar ne azan...
ek behan baaghe madina par sare rayt e tapa
sun rahi hai yaas o hasrat se baradar ki azan
hai qayamat ka samaa allahu akbar allahu akbar
di jo akbar ne azan...
sun ke ye gehware mein ki azan e ashk baar
nusrat e sarwar ki khaatir ho raha hai bekaraar
asghar e guncha dahan allahu akbar allahu akbar
di jo akbar ne azan...
kya bayan ho ay hameed o safdar e khasta jigar
lashkare shabbir mein ye gham ka manzar dekh kar
keh rahi hai khud azan allahu akbar allahu akbar
di jo akbar ne azan...