Kanz e Aza

Dil me akber ke hai sina baba

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Dil me akber ke hai sina baba

Jaa'n balab hai ye neemjaa'n baba

Aap ke hath thar tharaate hai

Dekh kar khainchiye sina baba


Dekhne mujhko aaye hai dekho

Daadijaa'n aur daadajaa'n baba

Aaap itna qayaal rakhiye ga

ran me aaye na meri maa baba


Mera ye haal dekh kar warna

jaan dedegi meri maa baba

Ab to jaate hai hum khuda hafiz

Dam hai kuch dam ka mehmaa'n baba


Reh gayi dil me nok barchi ki

aagayi hai labo'n pa jaa'n baba

kehkar akber ye mar gaye hilmi

qatm hoti hai daastaa'n baba