Kanz e Aza

Dil Mein Ghame

A noha written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

dil mein ghame hussain basaye hue hai hum

yun saari kayenat pe chaye hue hai hum


raushan kiye jo dashte bala mein hussain ne

wo sab charaagh dil mein jalaye hue hai hum

dil mein ghame hussain…


hairat se hum ko dekh rahi hai balandiyan

baatil ka har nishan mitaye hue hai hum

dil mein ghame hussain…


ab dil nahi hai seene mein ek aaftab hai

seene se kiske gham ko lagaye hue hai hum

dil mein ghame hussain…


wo aur honge jinko hai jannat ki aarzoo

jannat hamara haq hai jo paaye hue hai hum

dil mein ghame hussain…


bach bach ke kyun na guzre zamane ki gardishe

abbas ke alam ko uthaye hue hai hum

dil mein ghame hussain…


bete bhatije bhanje aur bhai mar gaye

kis kis ta daagh dil pe uthaye hue hai hum

dil mein ghame hussain…


rauze pe sayyeda ke ye zainab ke bain thay

amma utho ke door se aaye hue hai hum

dil mein ghame hussain…


ye sab tufail e aale mohamed hai ay urooj

dunya mein ye urooj jo paaye hue hum

dil mein ghame hussain…