Kanz e Aza

Ek Sar Kya Tha

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

ek sar kya tha shaheede karbala ke saamne

rakh diye sheh ne bahattar sar khuda ke saamne


jhil-milate hi rahenge hashr tak ashk e aza

jhil-milate hi rahenge ye diye

hum ne jalaye hai hawa ke saamne

ek sar kya tha...


ay tabeeb e asr dauran kya maseehai teri

ay tabeeb e asr dauran khaak hai

teri dawa khaake shafa ke saamne

ek sar kya tha...


hashr tak wo log ruswaye zamana hogaye

hashr tak wo log ruswa aagaye thay

jo shahe karbobala ke saamne

ek sar kya tha...


cha gaya bankar jalaale hyderi darbar mein

cha gaya bankar jalaale khutbaye

zainab yazeede be-haya ke saamne

ek sar kya tha...


apna sar saahil se takrane lagi mauje furaat

apna sar takra jab sakina

mashk laayi thi chacha ke saamne

ek sar kya tha...


dekhiye kya ho ba waqte izn maa ke dil ka haal

dekhiye kya ho ba waqte layenge

qasim ko jab dulha bana ke saamne

ek sar kya tha...


teer jab asghar ne khaya ro rahe thay ashkiyan

teer jab asghar ne khaya aur asghar

has rahe thay ashkiyan ke saamne

ek sar kya tha...


le gaya sar kaat kar shabbir ka shimr e layeen

le gaya sar kaat kar zainabe

khasta jigar ke ilteja ke saamne

ek sar kya tha...


saniye zehra ke sar se us rida ko le gaye

saniye zehra ke sar se dono aalam

sard goo thay jis rida ke saamne

ek sar kya tha...


maine paayi sar balandi maine paaya hai urooj

maine paayi sar balandi sar jhuka

rehta hai mera karbala ke saame

ek sar kya tha...