bachpan mein buzurgon ne batayi thi karbala
ek saahib e aalam ne basayi thi karbala
maa ne mujhe lori mein sunayi thi karbala
us din se mere dil mein samayi thi karbala
maa ne sunayi thi suno meri zabani
mazloom shehenshah ki mazloom kahani
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...
wo shehenshah madine mein raha karta tha
jis ki maa fatema zehra thi ali tha baba
jis ka bhai tha hassan aur nabi tha nana
sab se afzal tha zamane mein isi ka kunba
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...
us shehenshah ka ek bhai tha abbas e jari
ek beta ali akbar bhi tha hamshakle nabi
ek farzand tha shehzada ali asghar bhi
ek beti thi sakina jo sukoon e dil thi
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...
ek pisar aisa shehenshah ko khaaliq ne diya
naam sajjad laqab zainnulliba tha jis ka
ek behan zainab e kubra thi haya ki malka
bhia ke saath jo saaye ki tarha thi wallah
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...
deen e mabood pe jab waqt e musibat aaya
us shehenshah ne ek khaafila tayyar kiya
betiyon behno ko beton ko bhi hamraah liya
ek ajab shaan se nikla tha suye karbobala
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...
do moharram ko sar e karbobala jab pahuncha
chaar jaanib se layeeno ne usay ghayr liya
shaam ki faujon ne darya pe lagaya pehra
bas yahin se hua aaghaz e sitam wavaila
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...
us shehenshah ke kunbe pe badhe ranj o alam
band haftum se huwe aab o ghiza haye sitam
tashnalab peer o jawan nauha kuna ahle haram
us shehenshah ke qaimon mein bapa tha matam
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...
bekasi charon taraf qaimon pe mamoor hui
dard ke chaaye andhere shab e ashoor hui
cha gayi tashnalabi mauj e rawan door hui
aagayi subhe dahum zindagi be-noor hui
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...
wo shehenshah ne phir waade nibhaye saare
apne aangan ke diye ban mein bujhaye saare
ek ek kar ke janaze bhi uthaye saare
dard aur zakhm kaleje se lagaye saare
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...
wo shehenshah tha maqtal mein akela logon
ek musafir ko sitamgaron ne ghera logon
kund khanjar se gala pyase ka kaata logon
hogaya qatl mohamed ka nawasa logon
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...
bar sare farshe aza ashk fishani safdar
khoob ki lafzon ne bhi marsiya khwani safdar
sun chuke ahle aza meri zabani safdar
ek shehenshah ki pur dard kahani safdar
tum bhi kaho mai bhi kahun
goonj uthe saare zamane mein yehi shor o shain
hussain hussain imam hussain
hussain hussain...