Kanz e Aza

Sultane Arab Wal

A noha for Imam Raza (a.s), written by Safdar Abbas (2026). Lyrics in Roman Urdu.

ya zaamin e aahu ya sayyedi ya hashmi

jaan o dil e zehra o ali

sadiq ameen baabul yaqeen

behre mubeen tanveer e jali

kulle wafa kulle shifa

kulle ata la raib wali


sultan e arab wal ajam maula riza

ay waaris e hussain ya sartaj e ambiya


mushkil kusha ke laal tu mushkil kushaai kar

daste dua buland hai haajat rawayi kar

bhatke huwe hai raah se tu rehnumayi kar

ya shaahe khurasan ho nazre karam zara

sultan e arab...


ay waaris e sakhawat e ajdaad al madad

tang dast muflison ki hai faryad al madad

hum ho ghamon ki qaid se azad al madad

ahle aza ke waali o waaris ay badshaah

sultan e arab...


ay saahibe kamaal o karamaat zee hasham

darbar mein tumhare pareshan kyun ho hum

ahle aza ka rakh le ba-haqqe aza bharam

hai waasta imame hussain e ghareeb ka

sultan e arab...


muflis ko be-zaron ko ata kar de bu-zari

makrooz ka tu karz ada kar de ay saqi

imdad ke hai tujhse talabgaar matami

apni nigah e khair mein rakhna hame sada

sultan e arab...


ay shaahe wafa ya maula riza

ay daste ataa ya maula riza

har gham ki dawa ya maula riza

damaan e baqa ya maula riza

sun lije dua ya maula riza

har dil ki sada ya maula riza

sarkar hum ne aap ko zaamin bana diya

sultan e arab...


aulaad ki talab hai jinhe unpe kar nazar

mayoos bibiyon ki duaon ko de asar

taqdeer ko badal ke tu kar de ataa pisar

ay badshaah dar pe hai tere ye ilteja

sultan e arab...


toote hai jo masayib o aalaam aap par

kaise karun bayan ke phatne ko hai jigar

kehti hai fatema bhi yehi sar ko peet kar

padti hai tere gham mein khudayi bhi marsiya

sultan e arab...


mamoon ko jo bughz tha usne dikha diya

jis ghar mein aap thay wahan pehra laga diya

angoor mein hi zehr mila kar khila diya

maara layeen ne aap ko be-jurm o be-khata

sultan e arab...


haye haye mere aseer ghareebul watan imam

ro ro ke keh rahe thay ye mashad mein khaas o aam

taboot ko utha ke ye karne lage kalaam

kehte hai khaak uda ke taqi wa musibata

sultan e arab...


ya sayyedi ye khaas ataa mujhpe ho sada

shayar bhi naujakhwan bhi hoon zehra ke laal ka

safdar ko tu ne ek hunar aur de diya

ay behre inayaat o karamaat shukriya

sultan e arab...