Kanz e Aza

Fatema ke Bain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Yasir Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain


aaj bhi karbala mein fatema ke bain

ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain


dasht mein ab tak hai mehwe girya o zaari lahoo

gardan e shabbir se hai aaj bhi jaari lahoo

ab bhi teeron par hai laashe maalik e kaunain

ya hussain ya hussain...


is tarha bikhra badan tha fatema ke laal ka

ek ek tukda utha kar maa ne ye ro kar kaha

tera tan kaise milaun mere dil ke chain

ya hussain ya hussain...


kund khanjar shimr le kar jab teri jaanib badha

maine apna haath beta teri gardan par rakha

mai bacha na paayi tujhko phir bhi noor e ain

ya hussain ya hussain...


tere laashe ko kuchalne jab sitamgar aaye thay

maine laashe bawafa par bain ye farmeine thay

mere bete ko bachale ay wafa ki zain

ya hussain ya hussain...


tujhpe roti hai zameen aur aasman e kibriya

ay mere pyase tumhari tashnagi par ba khuda

ashk barsaate hai ab tak alqama ke nain

ya hussain ya hussain...


tu ne kaandhon par uthaya laasha e kadiyal jawan

qabr mein tu ne utaara asghar e tashna dahan

yani qaimon aur maqtal ke raha ma-bain

ya hussain ya hussain...


ek din ay laal mere maujiza ho jayega

ek taraf rauza tumhara ek taraf abbas ka

karbala mein do banenge sabr ke harmain

ya hussain ya hussain...


phir kaha zehra ne yasir hashr ke din aaungi

tera kurta khoon bhara jab roz e mehshar laaungi

tere gham mein khud kahega maalik e daarain

ya hussain ya hussain...