laasha e akbar pe hai ye umme laila ki fughan
jee nahi paaegi maa
khol de aankhein wagarna ay mere kadiyal jawan
jee nahi payegi maa
hai teri be-noor aankhein ay mere noore nazar
ay mere lakhte jigar barchi mein hai tera jigar
ye qayamat se bada hai maamta ka imtehan
jee nahi payegi maa
laasha e akbar pe hai ye...
zindagi mein tha ujaaala jis ke dam se dilruba
dekh kar jis ko savera roz hota tha mera
dekh kar chehra wohi ab bar sar e noke sina
jee nahi payegi maa
laasha e akbar pe hai ye...
fajr ka jab waqt hoga yaad aayegi teri
maa musalle par bhi tera gham manaane jayegi
jab tere lehje mein beta sun na payegi azan
jee nahi payegi maa
laasha e akbar pe hai ye...
maine socha tha tera sehra sajana hai mujhe
maine socha tha tujhe dulha banana hai mujhe
le ke ye armaan dil ke jaaye to jaaye kahan
jee nahi payegi maa
laasha e akbar pe hai ye...
ye na socha tha tujhe kaandhon pe sarwar layenge
pal mein athara baras yun raayegan ho jayenge
dekh kar tere jigar ka khoon seene se rawan
jee nahi payegi maa
laasha e akbar pe hai ye...
ye nahi hai hukm beta ye hai meri ilteja
kya kahun sughra se jaa kar bas mujhe itna bata
jab wo poochegi kahan hai mera bhai naujawan
jee nahi payegi maa
laasha e akbar pe hai ye...
laash par bete ki yasir ghash pe ghash khaati thi wo
hodh mein aate hi phir behosh ho jaati thi wo
laash ke shaane hila kar de rahi thi ye azan
jee nahi payegi maa
laasha e akbar pe hai ye...