Kanz e Aza

Kadiyal Jawan Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Gauhar Pakistani. Lyrics in Roman Urdu.

kadiyal jawan akbar marne ko ja raha hai

khamosh hai khudaai sakte mein karbala hai


maa sher se pisar ko hasrat se tak rahi hai

chehre pe bekasi hai aankhon mein bebasi hai

akbar rahe salamat honton pa ye dua hai

kadiyal jawan akbar...


faryad kar rahi hai behne tadap tadap kar

ro ro ke keh rahi hai mat jao bhai akbar

behno ko bhi kisi ne kya ye bata diya hai

kadiyal jawan akbar...


sar peet'ta hai koi karta hai koi matam

hai aisa gham ke maare saydaniyo ka aalam

qaimon mein shaahe deen ke kohram mach gaya hai

kadiyal jawan akbar...


darya ki simt dekha thokar jo ran mein khayi

kuch dayr ko to aaja abbas mere bhai

ye kehke mera maula maqtal mein gir gaya hai

kadiyal jawan akbar...


bano tadap ke boli armaan to badha loo

apne jawan pisar ko dulha to mai bana loo

aayega ab na wapas akbar mujhe pata hai

kadiyal jawan akbar...


khamosh hogayi hai kuch bolti nahi ab

sehmi hui zameen par baithi hui hai zainab

shabbir ne na jaane zainab ko kya kaha hai

kadiyal jawan akbar...


karbobala ke ban mein akbar hai aage aage

athara saal paala jisne galay laga ke

akbar ke peeche peeche wo baap jaa raha hai

kadiyal jawan akbar...


bhai bhatije yawar koi nahi hai gohar

allah re ye ghurbat ye bekasi ka manzar

dashte bala mein tanha mazloom e karbala hai

kadiyal jawan akbar...