kaha abbas ne aaqa ka mansha aaj le lenge
sakina ke liye abbas aada se darya aaj le lenge
ali ke sher hai abbas ke tewar batate hai
sitamgaron ke qabze se ye darya aaj le lenge
kaha abbas ne aaqa...
sitamgaron se ye aun o mohamed ran mein kehte thay
mere hamle dayare shaam o kufa aaj le lenge
kaha abbas ne aaqa...
wiladat keh rahi hai budshikan ki sehn e kaaba mein
khuda waale buthon se apna kaaba aaj le lenge
kaha abbas ne aaqa...
saji hai karbala teeron se talwaron se naizon se
ye ansar e hussaini jaane kya kya aaj le lenge
kaha abbas ne aaqa...
nikal jayegi hasrat jang ki abbas kehte thay
sakina ki sifarish ka sahara aaj le lenge
kaha abbas ne aaqa...
hai jis se azmate kaaba zameene karbala boli
jabeen e shaah e deen se hum wo sajda aaj le lenge
kaha abbas ne aaqa...
ali ibne kareema ka ho ye hurr sheh se kehta hai
hum apne haath se daaman tumhara aaj le lenge
kaha abbas ne aaqa...
ulat kar aasteen abbas be-deeno se kehte hai
ye darya hi nahi hum saari dunya aaj le lenge
kaha abbas ne aaqa...
hum aate hai kaha abbas ne ay lashkar e aada
jo kal darya tumhara tha wo darya aaj le lenge
kaha abbas ne aaqa...
jhapak jaye nigaah e barq jisko dekh kar salik
ali ki madha se aisa ujaala aaj le lenge
kaha abbas ne aaqa...