kaha sakina ne ro kar kahan gaye ammu
hai meri jaan labon par kahan gaye ammu
mere chacha ko elaahi tu khair se rakhiyo
kahin na phoote muqaddar kahan gaye ammu
kaha sakina ne ro kar...
sada ye aati hai darya se kis ke rone ki
ye kis pe rote hai sarwar kahan gaye ammu
kaha sakina ne ro kar...
ye sun rahi hoo ke darya pe kar rahe hai jihad
laday na behre payambar kahan gaye ammu
kaha sakina ne ro kar...
mai pani laane ko jaane na deti tum ko kabhi
ye dayr kyun hui aakhar kahan gaye ammu
kaha sakina ne ro kar...
tamaam ehle haram hogaye be-parda
phupi ki chin gayi chadar kahan gaye ammu
kaha sakina ne ro kar...
bandhe hai mashk alam may pharera khoon may tar hai
mai pyasi reh gayi aakhir kahan gaye ammu
kaha sakina ne ro kar...
sar apna peet ke ay saif kehti thi naadan
hamare chin gayi gauhar kahan gaye ammu
kaha sakina ne ro kar...