aagaya shaam ka bazaar kahan ho abbas
mere monis mere ghamkhwar kahan ho abbas
kis musibat mein hai bhaiya ye behen dekh to lo
mere ghazi mere haathon mein rasan dekh to lo
koi yawar na madadgaar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...
wo nakahat hai chala bhi nahi jaata mujhse
baith'ti hoon to utha bhi nahi jaata mujhse
al-madad sheh ke alamdaar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...
kya kahun kis se kahun haal bhala abid ka
kaz gaya tauq ke kaanto se gala abid ka
saans lena bhi hai dushwaar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...
parde majrooh ek dard jaga deti hai
bediyan bhi tumhe ro ro ke sada deti hai
qaid hai abid e bemaar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...
mujhse pooche koi ehsaas e ghareebul watani
har nafas dil mein mere chubti hai barchi ki ani
mar gaya akbar e jarrar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...
kaise hota teri ghairat ko gawara bhaiya
naam lekar mujhe zaalim ne pukara bhaiya
hum pe haste hai sab aghiyaar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...
habashi aagaye fizza ki himayat ke liye
kyun nahi aate bhala tum meri nusrat ke liye
taziyano ki hai bauchaar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...
khul ke roti nahi mazloom yateema bhaiya
siskiyan leti hai reh reh ke sakina bhaiya
kitna karti thi tumhe pyaar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...
tum nahi ho to sakina pe sitam hote hai
khushk aankhein magar kaan lahoo rote hai
marsiya padhte hai rukhsaar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...
lut gaya ghar mera aur gham ki ijazat bhi nahi
kitni majboor hoon matam ki ijazat bhi nahi
hoon rasan basta azadaar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...
hai bapa shaam ke bazaar mein aamir mehshar
noke naize se gira jaata hai ek sar nayyar
bain karte hai giraftaar kahan ho abbas
aagaya shaam ka bazaar...